Chalo Bal Ganesh ki nayi DVDs taiyaar ho gayi Arre ye colouring book toh bauth badhiya bani hai Yaar Topi yeh Suit Boot ne emergency mein kyun bulaya humko yahan? Arre tujhe to pata hai na uski show off ki aadat hai jaroor use kuch naya Product show off karna hoga Welcome my friends, my partners welcome, welcome Arre, welcome selcome chod pehle bata emergency mein kyun bulaya sab theek to hai na Arre yaar Topi, Dhoti, mujhe ek problem ho gayi hai yaar KYAAAA??? Arye Woh planet Zeba hai na wahan se kuch log aa rahe hai..! ALIENS???? Hello Chhodh Do, Humhe Chhodh Do, Chhodh Do humhe Kya aap, Dhoti aur, aa..aa.. Topi ho? Haan Haan Haaaan Suit boot uncle, Topi uncle, Dhoti uncle!!!! Aap hands up kyun ho? Kyu k Aap log to hume maar doge na? Arre Dhoti kya bol raha hai tu Nahi, Hollywood ki filmon mein yahi dikhate hai ALIEN ATTACK! Off Ohh!!! But, yeh koi Hollywood film hai kya? Nahi Hain!!! Toh aap hands down kar dijiye please Aap Bal Ganesh ji ke favourite ho na? Bal Ganesh Humare Bal Ganesh ke baare mein aap ko kaise pata?? Are ek minute,ek minute.. main batata hun! Yeh hai planet Zeba se mera khaas dost Zombo Inke planet vaasi Bal Ganeshji ke bauth bade bhakht hai Aur yeh sab unke school ke bacche hai Jo yaha har saal education tour pe aate hai aur is baar inhone request ki ke inko humse Bal Ganeshji ki nayi stories sunni hai Aur isliye maine tumlog ko yaha emergency mein bulaya tha ab samjhe k nahi. Arre Suit boot pehle nai bol sakta tha Phokat mein, tention mein paseene nikal diye Hume aur stories sunni hai Please! Please ! Please humein stories sunao na,sunao please Hum paunch gaye, Hum paunch gaye Educational trip hai na, full school aaya hai Vakratunda Mahakay, Suryakoti Samaprabh, Nirvighnam Kurume Dev, Sarv Karyeshu Sarvada! Yeh kaunsa gaana tha? Aree Nahi Nahi!! gaana nahi... yeh toh Bal GaneshJi ka ek shlok hai...ek aavahan Aavahan, Meaning??? Meaning??? Arre, matlab ka meaning, Aavahan means Prayer Koi bhi kaam start karne se pehle Hum Ganesh ji ki puja karte hai Taki humara kaam successful ho jaye Chalo main tumhe ek Kahaani sunata hoon Phir tum sab samajh jaoge ki ye shlok ka aaya kaha se..? Ganesh Jab Bhagawan Shiv ne Bal Ganesh ko pran mantra se punar-jeevan diya tha Tab unhone yeh ghoshit kiya Koi bhi kaam karne se pehle Bal Ganesh ki puja anivarya hogi Jab tak Ganesh ji ki puja nahi hogi Tab tak koi bhi kaam safal nahi hoga Phir woh kissi bhi bhagawan ki kyun na ho, Phir Ek Din Kya, Prabhu aap bhi mujhe sata rahe ho inlogo ki tarah Acha, toh Aggam Baggam or Bringi, tumhe satate hai Woh kaise? Har roj yeh bade bade granth leke aate hai Aur mujhe kehte hai pad ke sunao Aapko to pata hi hai, main to abhi padhna seekh raha hun Aur jab main theek se nai pad paata to yeh sab mujh pe haste hai Ha ha.. Theek bola Aaggam… Padhe ga nahi to seekhega kaise Isisliye Mooshak maharaj ke liye hum granth leke aate hai Haan! Aur Mooshak maharaj granth ke arth ka anarth kar dete hai Yeh Nandi kyun bhaga chala aa raha hai? Prabhu Prabhu Pranaam Prabhu Kya? Tripura nagari par aakraman? Itni pavitra dharti par rakshason Ka aakraman...?!! Nandi, sabhi ganon ko yuddha ke liye ikaththa karo Hum swayam, Tripura nagari ko bachaane jayenge Har Har Mahadev Yeh kya???? Kya hua bhagwan? Bhagwan Nandi Maine, Maine ek bhul ki hai Bhul? Aapse? Haan Nandi, main Ganesh ka naamasmaran karna bhul gaya Maine hi kaha tha ki koi bhi karya aarambh karne se pehle Ganesh ki puja karna aavashyak hai Aur main swayam bhul gaya Toh, hume apni bhul sudhaarani hogi, Prabhu! Vakratunda Mahakay, Suryakoti Samaprabh Nirvighnam Kurume Dev, Sarv Karyeshu Sarvada! Bal Ganesh ki jai! Bal Ganesh ki jai! Bal Ganesh ki Jai Phir uske baad kya hua? Uske baad, bhagawan Shiv Yudh yani War pe gaye Aur Tripura City mein sabhi rakshason ki chhutti kar di Shiv ji war jeet gaye Yeeeh!! Bal Ganesh ki Jai! Hume, aa...aap ek aur story sunayiye na Haan...Haan...Haan... Thik hai ,Thik hai Yeah!! Magar fighting wali Story Haan Fighting wali Story Hmm, Theek Hai?? Main tum logon ko Bal Ganesh ki fighting waali story sunata hun Arreeee Khana Kahan Gayab Ho Gaya? Ganesh! Kyun tang karte rahte ho inko hamesha Kyun inka saara khana kha gaye ? Shama karna maa, firse nahi karunga Theek hai, is baar tumhe chod deti hoon par agli bar nahi Main abhi aur khana bhejti hun tum sabke liye Hmmm, Bhookh lagi hai , Kuch sochna padega Hmmm, Khana swadisht tha Mera pet toh bhar gaya Ab tum sab aaram se apna khana kha lo Arre ye kya ho raha hai.? Yeh to Vyomasur hain Iska itna sahas ke isne Kailash pe aakraman kiya Maa Bholenath bhi nahi hai Woh toh gufa mein dhyan laga kar baithe hai Ganesh Kahan hai woh???? Maa, Prabhu toh andar hain!! Ganesh!!! Maa, Aap theek toh hain naa?? Vyomasur!!! Tune yaha aake bahut badi galti kar di Tune meri maa ko kasht diya, ab main tujhe nahi chodunga. Nandi,Tum maa ka khyal rakho main abhi isse nipat ke aata hun Balak tum mera kuch nahi bigad sakte Mujhe pata hai Bholenath dhyan mudra mein hai Ab mai Kailash pe apna raj sthapit karunga Dur hat ja yaha se Tu to ekdum chhota hai chhota, itna sa mere saamne Tu kya mujhe maarega Marega mujhe le maar, maar na Meri icha hai tu mujhe maar Kya hua?? Vyoma tu toh gaya Vyomasur mere bhakt jab bhi kuch dilse maangte hai toh main unhe woh de deta hun, Bas sirf shraddha sachi honi chahiye Tune sachi shraddha se maanga hai to main teri iccha avasya puri karunga Tatashthu Maaa Bhookh lagi hai, chalo maine Modak banaye hai MODAKKKKKK!!!!! Nahi Maa, Prabhu sab kha jaayenge aur hum sab firse bhooke rah jayenge Toh humne kya seekha iss story se? Are Zombo bhai, arre Kyun inke chhote se brain par badasa burden daal rahe ho ? Aree ye bachche nahi bata paayenge Hum mein agar courage ho toh Koi bhi mushkil aasan ho sakti hai Kyun ki koi bhi chhota kabhi chhota nahi hota Arre wah badiya..! Yeh to bache log bohot samjdhar hai, jaise hamare Bal Ganesh! Arye unhone kaise ek bade Rakshas ko zameen mein gaadh diya Waise hi hume humare andar ke darr ko zameen mein gaadh dena chahiye samjhe ke nahi? Toh chalo, main tumhe ek story sunata hoon Bal Ganesh ke parakram ki Parakram, Meaning??? Meaning??? Arre, matlab ka meaning, Parakram means Bravery Haaaaannnnn,bravery kiiiii Achachhaaaaaaa Yeh Lo Yeh Lo Yeh lo Acche dikh rahe ho Aggam, ruk ja, kyun Nandi ko gussa dila raha hai Tujhe pata hai na agar use gussa aa gaya tohhhhh Shant ho jao Nandi, Shaant Aaj Bada mazaa aaya Chalo...ab nahate hai Parantu Prabhu, taalab ka pani toh thanda hoga na? Toh kya hua?!! thande pani mein toh aur bhi mazaa aayega Parantu, Parantu main toh ekdum saaf hoon aaya maza Haan Aggam, bilkul sahi, ab toh Mooshak maharaj ko nahana hi padega Prabhu, chaliye na, mujhe bahut bhookh lagi hai Mata ke hathon ke modak khate hai, chaliye na Arre, haan haan! Mooshak Hum sab aa rahe hai, tum itne utavale kyun ho rahe ho? Prabhu Mooshak ko tairna nahi aata na Isliye yaha se nikalne ki yukti dundh raha hai Prabhu MATSYASUR!!!! Bal Ganesh Matsyasur, yeh kailash parvat ki pavitra nadi hai Ise dushit karke tune ghor apradh kiya hai Tum isi samay yaha se chale jao warna iska parinam bahut bura hoga Balak, shayad tumhe pata nahi hai ki main kaun hoon Aur mujhme kitni ashim shaktiyan hai Main to tumhe ek pal mein hi maar sakta hun Main yaha se jaane ko nai parnatu kailash pe raaj karne aaya hun Agar tum is nadi mein nahi aate to main ab tak Shivji aur sabhi ko bandhi banake kailash pe raaj kar raha hota MATSYASUR!!!! Arre Balak, tum kyun itna gussa ho rahe ho, aakhir tum ho kaun Main Hoon Bal Ganesh!!! Prabhu. Prabhu.. aap kaha ho, main aa raha hun aapko dhundne Mooshak, Tumhare jaisa mitra aur Bal Ganesh ke khaas chahite ko shat shat pranam yeh jaante hue ke tumhe tairna nahi aata fir bhi apni jaan ki parva kiye bina unhe bachane ke liye tumne paani mein chalang lagayi Chinta mat karo Mooshak! Parantu Maa, aapne usse nahi dekha, woh rakshas bahut bada aur Shaktishali tha. Acha ..Toh kya humara Ganesh kum hai...! Woh bhi toh shaktishali hai Mujhe kuch nahi hua hai Maa! Main bilkul thik hoon Ohh Toh itne samay tak pani mein kya kar rahe the? Main, main toh thande pani ka mazaa le raha tha Bal Ganesh ki Jai Arye Kya ho raha hai? Yeh kya sochenge humare baare mein Arye Nahi, nahi, aisa kuch nahi, bade hi pyare bachche hai Haan! Alag dikhte hai, lekin hai toh bachche hi na Are hahaha baccha party, arye aap log to dance bohot accha kar lete ho Toh phir kyun na thoda gaana waana ho jaye Gaana Waana, Meaning??? Meaning??? Arre, matlab ka meaning,Gaana Waana means, singing winging means lets Dance!!! Itne saare Bal Ganesh ke tofhe, Inme se kaunsa dun?? Yeh accha hai Accha suno bacho, yeh tumhare liye.. Hum teeno ki taraf se ek chhota sa gift Yeh kya hai? Kya hai ki,Yeh jo Globe hai na ye ek 3D holographic image project karta hai Wo bhi Bal Ganeshji ki Wowwwwww Kids, Isse please wapis dedo Hum gift nahi le sakte Arre zombo bhai ye aap kya bat kar rahe hain..? aapko yeh gift aacha nahi laga Kya??? Arre Koi bat nahi main, main dusra nikal k deta hu.. Aree nahi nahi Suit Boot Bhai, aisi baat nahi hai mujhe dar hai kahi yeh gum ho gaya, ya chori ho gaya to hume bahut bura lagega Fir main chain se nahi reh paunga Oh yaani aap vichlit ho jaaoge… Vichlit, Meaning??? Meaning??? Arre, matlab ka meaning, Vichlit means tention mein rehna, jaise Kapila Muniji ho gaye the Kapila Muniji??? Aye Topi tu ruk jaa na yar… mein inko batata hun chintamani ki story Nahi Ganasur, tum ye mani nahi le sakte Nahi Ganasur nahi Nahi Nahi, Ye toh anarth ho gaya Ab Ganasur is mani ka durupyog karke, har jagah trahimaam macha dega!! Mujhe sheegrah hi Bal Ganeshji ki aaradhana karni hogi Om Gan Ganapataye Namah! Prabhu Kya hua munivar? Aap ne mujhe kyun bulaya? Prabhu, mujhse, mujhse bahut badi bhool ho gayee hai prabhu! Bhool? aur aap se? Haan Bal Ganesh! mujhe aap ne itne vishwas se Chintamani diya tha Aur main murkh, mene uss maha shaktishaali mani ko apne gale mein pehan liya Toh usme kya bura kiya? Aapki jagah koi bhi hota toh aisa hi karta Nahi Nahi Bal Ganesh! mujhe us mani ko gale mein nahi pehenna chahiye tha Woh sabki najar mein aa gaya, jiske wajah se badi samasya ho gayi hai Samasya? iss mein kaun si samasya munivar? Main wah mani nahi sambhal paya, Bal Ganesh! Nahi sambhal paya, Ganasur ne chintamani ko chura liya Kya? uska yeh dussahas? Chintamani ki ashim shaktiyon se woh sab kuch nashta kar dega Iss dharti ko, insaanon ko, Praniyon ko, kissi ko nahi chhodega woh Ek aap hi hai prabhu jo ab iss prithvi ko vinash se bacha sakte hai Aap chinta na karen munivar. Wo mani aapko wapis mil jayega. Prabhu Dhandyawaad Mani Kahan gaya mera mani Kahan gaya Is chitamani ke hote mujhe koi haath bhi nahi laga sakta Pehle toh mein us rishi Kapila ko maar dunga Aur phir Kailash jaakar saare devtao ko Senapati, Hum isi samay aakraman karenge, Sabhi danavo ko taiyaar karo Kahan jaa rahe ho Ganasur Tumhari mrityu toh yahi likhi hai Phir tum kyun kahin aur jaane ka kasht kar rahe ho!! Bal Ganesh, accha hua ki tum yahi aa gaye Bal Ganesh kyunki meri nahi tumhari mrityu yahi likhe hai aur woh bhi mere haathon se Yeh to samay hi batayega, ki kiski mrityu tay hai Arre kayron, muh kya dekh rahe ho, maar do Isse…! Ganasur, ya toh tum Chintamani mujhe apne haathon se de do ya fir main tumhe maar ke lelu batao de rahe ho ya tumhe maar dun Yeh chintamani hai, iski ashim shaktiyo k bare me Ganasur, Woh Chintamani mera hi hai Isliye mujhe sab pata hai iske bare mein Tum de rahe ho ya main maarun Tum mera kuch nahi bigad sakte, tum to Ganasur, mujhe bahut bhookh lagi hai Mera samay vyarth mat karo, tum de rahe ho ya main maarun Nai dunga, nahi dunga, nahi dunga, jo karna hai karlo Aakhri baar puch raha hun, tum de rahe ho ya me maarun Arre tum kya maroge mujhe Main tumhe maar dunga aur fir tumhare pitah Bholenath ko, main amar hun GANASUR, woh mani mujhe wapas dede Bal Ganesh, main wapas aaounga aur tumhe aur tumhare pitah dono ko maar dunga BAL GANESHHHHHHHHHHHHHHHHHHH!!!!!! Yeh lijiye muniwar aapka chintamani Nahi Bal Ganesh! main isske layak nahi hun Mera Chintamani par koi adhikaar nahi Isse krupa karke apne hi ke paas rakhiye Par kyun muniwar Prabhu, yeh jiss kissi ke bhi hath lagega, Woh iska durupyog kar sakta hai Aur agar kabhi yeh mere aashram se firse Chori ho gaya Toh main apne aapko kabhi maaf nahi kar paoonga Thik hai Munivar. Jaisi aapki ichcha! Bal Ganesh ki jai Bal Ganesh ki jai Thanks for the gift Par mein request karta hun ki ye anmol gift aap wapis lelijiye Arre humlog samajhte hai zombo bhai Aap tention mat lejiye iske badle mein hum tum sabko Bal Ganesh ji ke kuch Books aur Dvd’s denge thik hai na..? Or sirf tumhare liye hi nahi,Sab ke liye denge, poore school ke liye Yeah, Yeah, Thank you, Thank you Aree yeh toh baarish shuru ho gayi pichli baar jab main yaha aaya tha tab barish mein bhiga tha bada mazaa aaya tha muje Haa barish ka toh mazaa hi kuch aur hai! Wo to hai, par jante hai humare yahan to sirf do hi mausam hote hai Sunny aur Snowy Hume toh barf mein bahut mazaa aata hai. Kya aap kabhi barf mein khele ho? Arre Barf mein khelne se yaad aaya, Bal Ganesh bhi toh barf mein khelte the Arre, yaad nahi, Chanchalasur rakshas ki kahani Jisne dhoke se Bal Ganesh ko marne ki koshish ki thi Hume sunayiye na! Hume sunayiye na! Theek hai, Theek hai, Sunaata hoon Chalo dekhte hai kaun jaldi ghar paunchta hai? Ruk ja Aggam, pichli baar kya hua tha tujhe yaad hai na Agar Nandi ko firse gussa aa gaya to tujhe aisi maar marega ke tu jo toota foota bolta hai na woh bhi band ho jayega Tujhe maja aa raha hai, arre maja saja mein badal jayegi gaya Kisne Maara mujhe? Sammne aaye Yaha niche, niche, woh galti se aapko lag gayi, shama karein Moorakh tu jaanta nahi main kaun hun Nahi main nahi jaanta tum kaun ho, arre Mooshak tumhe pata hai yeh kaun hai Nahi prabhu, main bhi nahi jaanta yeh kaun hai Chanchalasur, Chanchalasur naam hai mera Aur tune mujhe jagaah ke bahut badi galti kar di hai moorakh Main tujhe yahi maar dunga Chanchalasur, hahahaha, Arre yeh bhi koi naam hua, Chanchalasur??? Tera yeh dusahas, tu hain kaun Main hoon Bal Ganesh Chalo accha hua tum yahi mil gaye suruwaat tumse hi karta hun,or fir tumhare pure parivaar ko maarke Kailash par raj karunga CHANCHALASUR, pehle mujhse to nipat fir mere pitah ke paas jaana Arre balak, tu mera kya bigad lega Pehle apni taakat aur meri taakat to dekh Dekha meri taakat ka parakram Chanchalasur, agar yehi taakat tum logo ki bhalai mein lagate to ab tak tumhara udhaar ho jaata Tu mera uddhar karega Maaro, maaro, meri antariccha hai ki tum mujhe maaro Chanchala Kya,Kya hua ? Chanchala tu to gaya Chanchalasur, mere bhakt jab kuch dilse maangte hai to main unhe woh deta hun Bas sirf shraddha sachi honi chahiye Tune sachi shraddha se maanga hai to main teri iccha avasya puri karunga Tatashthu Chalo bhaiya, Isse yahin maar dete hain Jab tak main jinda hun tab tak koi Bal Ganesh ko kasht nahi pauncha sakta Ab mujhe gussa aa raha hai, main tumhe nahi chodunga Bhaiya bhaag lo, Jaan bacha lete hai apni Kahan jaa rahe ho Chanchala Aap ..Aap theek to hai Bal Ganesh.? Nandi..Jab tak tum mere saath ho tab tak mujhe kuch nahi hoga Prabhu mujhe neeche uthaariye Aao Mushak Aao Prabhu bahot bhook lagi ha Chalon na ghar jaake maa ke hathon ke Modak khaye MODAKkkkkkkk, chalooooo Arre mere liye ruko Arre Aggam kitni baar kaha hai Nandi ko gussa mat dila Par tu meri bat sunta kaha hai, ab latak te raho yaha Kya Hoo Haa Hoo Haa, bol raha hai..? bolo Bal Ganeshji bachao hume!!!! Yeah!! Ganapati Bappa Morya! Mangalmurti Morya! Ganapati Bappa Morya! Mangalmurti Morya! Ye kya hai? Ye kya baj raha hai? Arye Kya hua Kya hua? Koi aakraman toh nahi ho raha hai na? Aakraman, Meaning??? Meaning??? Arre, matlab ka meaning, Aakraman means Attack Arye nahi nahi Attack nahi, Head office se bulawa aaya hai Ab waapas jaane ka time jo ho gaya Waise meri iccha to nahi hai, par jaana to padega hi Nahi nahi, hum nahi jayenge Haan hum nahi jayenge, hum yahi rahenge Arre Shant, shant, shant ekdm shant ho jao bacho Accha suno suno Main aapko Bal Ganeshji ki ek aur kahani sunata hun Ek toofani aur mazedaar kahani YEAH! YEAH! YEAH! YEAH! Lekin, Lekin bacho uske baad tum sabko apne teacher ki baat maan ni hi padegi Bolo ready ho? YES! YES! Hum ready hai Haaaaan Abhi mein tum sabko ek war story sunaunga Bal Ganesh ki fighting Sindhu rakshas se! kitna kathin hai prabhu, kal padke sunaun Mooshak, padna to aaj hi hoga warna Nandi ko gussa aa jayega, fir mat kehna Haan haan batata hun, batata hun Mooshak maharaj pichli baar jo Nandi ne gusse mein hume ulta latka diya tha pure do din baad hum niche utar paaye Arre, shant Nandi shaant itna, itna gussa accha nahi main padta hun, main padta hun Bholenath, bachayeeye hume Hum sab ko, iss srushti ko, Sindhu ne swarg ko bhi tahes-nahes kar diya hai Pure Dev Lok mein hahakkar macha hua hai. Kyaaa???? Woh Sindhu yahan, Kailash par aakraman karne aa raha hai Yahan? Kailash par? Itna dussahas Sindhu mein? Bholenath, aur woh yeh kehte huye aa raha hai ki woh aap ko bhi bandi bana dega Kya? Aisa kaha ussne? Toh aap tak Sindhu ki hawa pahunch hi gayee Humse liye hue vardaan ka galat istemal kar raha hai Sindhu Bholenath ab hum kya Karen ? Aap chinta na kare.. main use thikane lagata hun Ganesh? Lekin... Balak Ganesh hi thik rahenge iss karya ko sampanna karne ke liye Prabhu aap bhi? Aap Maa hai, iss liye keh rahi hai Kintu aap swayam yeh janati hai Ki Bal Ganesh hum mein se kissi se bhi Shaurya ya chaturayee mein kum nahi hai Bal Ganesh, Sindhu ne ghor tapasya ke baad Mujhse vardaan mein, Amrit aur Bholenath se Surya Dev ke diye hue kavach ko Unka Trishul jo ki sabse kathin dhatu se bana hai wo bhed na sake aisa vardaan liya hai Sindhu ki nabhi mein Amrit se bhari ek kupi hai Jisse usne surya dev k kavach se Dhaka hua hai Uss kupi ko tod kar hi Sindhu ko maara ja sakta hai Varna sindhu amar rahega Main tayyar hoon! Kintu abhi saare Gana bhi nahi hai yahan Itni badi sena ka saamana kaise hoga Aap chinta na karen Maa Sindhu ke liye toh main akela hi kafi hoon Aur phir main usse mile Varadaanon ko bhi toh janata hoon Main jeet kar hi lautoonga Maa! Janati hoon, Vijayee Bhav Putra! Itani badi sena! Achchi tayyari ki hai. Prabhu...yeh humari nahi uss rakshas ki sena hai Arre janata hoon main Mooshak, Chinta mat karo Sindhu! Dussahasi Tum Bhagwan Vishnu aur Bholenath ko bandi banane chale ho Aye Balak! Chala jaa apne ghar ko Main Bholenath aur Bhagwan Vishnu ko maar kar kailash par raaj karunga raj Tu mera samay vyarth na kar Dushta Rakshas, tune unka naam bhi kaise liya Unn tak pahunchane se pehle, tumhe mujhse ladna hoga Accha.. Parantu ek balak se kya ladna Waise tum ho kaun? Main..Main Hoon Bal Ganesh Bholenath ka putra! achcha hai, achcha hai Lekin bachche tu meri iss badi sena ka saamana kaise karega? Tumhare paas toh sena hai hi nahi! Hum itne hi kaafi hai tuhare liye Yeh chota sa chuha Yeh patla aur mota rakshas Aur yeh ajib sa dkihne waala prani Aur tum humein maaroge Nandi, abhi nahi, jab main kahunga tab apna gussa utarna in par Sindhu abhi bhi kuch nahi bigda Bholenath se maafi maang le aur yaha se chala ja Warna iskar parinaam bahut bura hoga Arre Baalak, tu to kya tere pitah bhi mera kuch nahi bigad sakte pehle main tum sabko marunga aur fir Bholenath ko Sindhuuuuu, tera yeh Dushashas Sarvanash kardo in Rakshasho ka Mooshak abhi tumhara samay nahi aaya Aakramannnnnnn !!!! Mooshak, tayaar ho jao, par haan tumhe tumhare purane roop mein aana hoga Jaise aapki aagya prabhu Aye Balak, tune meri sena ko maara Parantu main akela hi kafi hoon, mita doonga sab kuch Bal Ganesh, tu kya mujhe marega main to amar hoon amar Jab tak mere paas Amrit hai mujhe kuch nahi ho sakta kuch nahi Mujhe maarne aaye tha Mujhe maarna tumhara ek sapna hi rahe jaayega Kaash tum mujhe maar paate Sacchi meri yeh iccha hai ki tum mujhe maaro Par yeh ho nahi sakta, kyunki main amar hun amar Sindhu tu to gaya Sindhu, mere bhakt jab bhi kuch dilse maangte hai to main unhe woh de deta hun Bas sirf shraddha sachi honi chahiye Tune sachi shraddha se maanga hai to main teri iccha avasya puri karunga Tatashthu Bal Ganesh jab tak mere paas yeh Amrit hai Arre ruk ja, ruk ja..Mujhe pata hai, Bhagwaan Vishnu ne mujhe bataya hai Acha par kya tum ye jante ho ki..Surya Dev ke diye hue is kavach ko Shivji ka trishul bhi Arre.. ruk ja, ruk ja,Mujhe pata hai, Bholenath ne mujhe yeh bhi bataya hai Main, main tumhe maar dunga,maar dunga tumhe Sindhu, mujhe baad mein maarna Pehle apne aap ko to bacha le Kyunki vardaan lete samay tune Bholenath se yeh nahi pucha tha Ke unke Trishul se bhi tez koi aisa bhi auzar hai jo is kavach ko bhed sake Kya? kaunsa auzaa PARSHU!!! Bal Ganesh ki Jai Bal Ganesh ki Jai I am sorry guys, but we need to leave! Na na na.. bacho is taraha se muh nahi latkate Aise udaas nai hote Dekho me tum sablog ko promise karta hu Ki next time hum teeno bhi tumhare
planet par aayenge. Promise? Arre chuha promise Hum teeno ayenge aur apko Bal Ganesh ki dher sari kahaniyan sunayenge Yeah!!!! Thank you! We Love You! Chalo bacho humhe chalna chaiye Bye Umeed hai jald milenge Bye Chalo Doston fir milte hai, tab tak ke liye enjoy